Adhiktar log apni body, skin, figure, height, motape ko lekar dukhi rahte hai. Lekin jo sabse important part hai jiska hamaare life me sabse important role hai uske baare me koi nhi sochta. Vo brain hi hai jo hamse sab kuch karwaata hai. Agar brain sahi na ho to achi body height sab bekar hai. Is post me kuch aise tips hai jise apnakar aap apne brain ko improve kar sakte ho. Taaki aap physical aur mental dono tarah se fit rahe.
1.Foreign language sikhe.
Koi bhi new language sikhne se hamaare brain ke hippocampus ka size increase ho jata hai. Ye vahi part hai jaha yaade banti hai. Hamaari motherlanguage hai Hindi agar hindi ke alaawa koi language sikhte hai to hamaare brain ke liye faydemand hota hai. Isse aapko koi bhi new cheese jaldi accept karne me bhi madad milti hai. To aaj se hi new language sikhna suru kar de.
2.Jyaada paani piye.
Hamaare brain ka 80% part paani se bna hai. Paani jyada peena hamaare poore shareer ke liye laabhdayak hota hai. Doctor bhi hamesha jyada paani peene ki salah dete hai. Ek ache brain ko chalaane ke liye paani ki nischit maatra jaruri hai.adhik paani waale Fruits bhi sekhat ke liye ache hote hai. Jaise tarbooj,kharbooj,tamatar etc.
3. Brain games khele
Brain games hamaare brain ki exercise karwata hai. Agar aapne daily brain game khelne ki adat daal li to ye aapke brain ke liye fayda dega. Playstore se aap brain games download kar sakte hai.
4. Exercise daily
Daily kuch time exercise aapke sharir ko hi nhi balki aapke dimaag ko bhi fresh rakhta hai.
5. Read books
Agar aapko book padne ki aadat nhi hai. To aaj se hi padna suru kar de book reading apki knowledge ke saath saath apke brain ki excercise bhi karta hai. Aapko har tarah ki book padni chahiye.
6.meditation
Hamaare desh me aaj se hi nhi hajaaro saal se meditation ke profit ko santo ne bataaya hai. Meditation se aapko shanti milti hai. Jo paiso ya kisi bhi cheez se aapko nhi milegi. Agar aap daily 10-20min meditation karte ho to Aapka dimaag shaant rahega. Apko gussa kam aayega. Aur sochne ki shakti bhi badhegi.
7. Poori neend le
aapne ye jarur suna hoga ki sona kam chahiye aur aadhi aadhi raat tak padna chahiye etc. Ye bilkul galat hai hame poori need leni chahiye agar ham kam soyenge to hamaara dimaag poori tarah fresh nhi ho payega. Gahari need se hamaare brain ki yaad rakhne ki capacity badti hai. Raat me jab ham aaram kar rahe hote hai to brain din me hue sabhi moments ko visualize karta hai. Gahri neend hamaare liye bahot jaruri ha
Is tips ko apne dosto tak pahuchaaye post ko share karke. Aise hi tips ke liye hamaare blog ko join kare.thanks
Comments